Poetry

 Teri Hi Tarah Hamein Yaad Aane Wala Ho



                

                                                              Teri Hi Tarah HameinYaad Aane Wala Ho 
Tere Siwa Bhi Koi To Satane Wala Ho

Har Ek Subah Yahi Dil Mein Hook Uthti Hai
Hamein Bhi Naaz Se Koi Jagane Wala Ho

Wo Kis Ummid Mein Ghar Mein Rakhein Ke Jis Ghar Mein
Na Aane Wala Ho Na Koi Jaane Wala Ho

Har Ek Se Nazrein Milayi Hai Unke Kuche Mein
Ki Jaise Ab Koi Hum Ko Bulane Wala Ho

Hai Dosto Ke Liye Aayina Nazar Meri
Nazar Milaye Jo Nazrein Milane Wala Ho

Ke Jaise Koi Bala Mujhpe Aane Wali Hai
Haraas Kehta Hai Koi Bachane Wala Ho

Hamare Shaher Mein Kya Kya Saje Sajaye Hai Ghar
Hamare Ghar Ko Bhi Koi Sajane Wala Ho

Tez Barish Mebhi Sard Hawaon Me  KaRaha


Tez Barish Me Kabhi Sard Hawaon Me Raha
Ek Tera Zikar Tha Jo Meri Sadaon Me Raha

Kitne Logon Se Mere Gehre Marasim Hain Magr
Tera Chehra Hi Faqat Meri Duaaon Me Raha

Aankhon Me


Na Jane Rank Hain Kiun Be Shumar Aankhon Me
Ke Jaise Aaya Tu Banke Bahar Aankhon Me

Har Ek Chehra Tumhar Shabeeh Lagta Hai
Macha Hua Hai Ye Kya Khalfeshaar Aankhon Me

Kabhi Jo Rukh Pe Tere Uth Gai Nazar Meri
To Paya Khudko Teri Beghubaar Aankhon Me

Tumhari Nazron Ka Ek Jaam Hi Piya Tha Ke Bas
Tumhare Ishq Ka Chhaya Khumaar Aankhon Me

Tere Jabeen Ka Qashqa Misale Mahro Mah
Basa Hua Hai Yun Lail O Nahaar Aankhon Me

Zara Sa Rozane Zindan Ka Noor Naakaafi
Hai Tere Hijr Ki Raaten Hazar Aankhon Me

Tumhari Rah Pe Chala Paya Aabla Paai
Aour Aansuon Ke Sabab Hai Daraar Aankhon Me

Likhunga Gham Ka Fasaana Main Us Siyaahi Se
Chhupi Hui Hai Jo Is Beqaraar Aankhon Me

Ye Kaisi Raahguzar Pe Tu Chal Para Nasir
Qadam Me Aable Aour Fikre Yaar Aankhon Me

Tere Labon Se Sirf, Gham Nikalta Hai




Har Damm Us Ki Yaad Se Tera Damm Nikalta Hai
Paani Nikalta Hai Aankon Se, Phir Bhi Kamm Nikalta Hai

Tu Shaaer Kam Aashiq Ziada Lagta Hai Ahmed
Jab Nikalta Hai Tere Labon Se,Sirf Ghamm Nikalta Hai

Ab Tumharay Hum Nahi



Hum Tumharay Thay Kabhi, Magar Ab Tumharey Hum Nahi

Beshak Phirtay Hain Da-Ba-Dar, Phir Bhi Kisi Se Kam Nahi

Hum Shaheed E Ishq Hain, Gaazi E Wafa To Nahi
So, Auraaq E Tareekh Main, Hamari Daastan Raqam Nahi

Kia Faida Us Maatam Ka, Jo Tum Par Asar Na Karay
Pathar Dil Ho Gaye Tum, Ab Hijar Ka Koi Gham Nahi

Ik Hum Bhi Muddaii Hain, Adaalat E Ishq Main Ahmed
Tera Yeh Hum Se Na Milna, Kya Hum Par Zulam Nah

Ta'ajjub Hai, Wo Humein Hamara Bhi Nahi Krtay




Door Se Hi Dekh Kar Wo Galat Samaj Bethey Hain Humein
Paas A Kar Dil Dekhna Gawaara Bhi Nahi Kartay

Hamein To To Apna Kisi Tarha Na Kar Sakay Ahmed
Magar Ta'ajjub Hai, Wo Humein Hamara Bhi Nahi Krtay

Meri Aankhon Se Aansoo Barastay Rahay



Karnay Ki Izhaar E Mohabbat, Hui Na Himmat
Phir Deed Ko Hum Us Ki Tarastey Rahay

Wo Raha Mehv E Guftgoo Mere Raqeeb K Sath
Meri Aankhon Se Aansoo Barastay Rahay

Laachar Mohabbat


Is Dunia Mein Laachar Aye Thay, Laachar Hi Gye
Wo Jo Dil Mein Utray, Sub Sanwaar Hi Gaye

Hum Ne To Sirf Un Se Mohabbat Ki Thi Ahmed
Wo Khata Hi Kya Thi Jo Humein Maar Hi Gaye

Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.


Kyoun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha.
Aik Yeh Bhi Zamana Hai Aik Woh Bhi Zamana Tha.

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi.
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha.

Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha.
Maloom Na Tha Tumne Yoon Chhor Ke Jana Tha.

Kyoun Humse Khafa Ho Tum Kyoun Humse Juda Ho Tum.
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha.

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi.
Tukre Bhi Kiye Dil Ke Kya Khoob Nishana Tha

Judaai K Mosam Main


Judaai k Mosam main,
Utarti Shaam se Pehly,

Meri Yakh-Basta Aankhon main,
Khaamoshi Raqs karti hai,

To Usski Yaad ki Payal,
Yoon Mery Kaan main Aa kar,

Mussalsal Chanchhanati hai,
To Phir Yak-Dam Khaamoshi ka,

"Tassalsul" Toot jata hai,
Phir aisey mein koi "Koyal",

Barry hi Qarb se Kooky,
To yoon Mehsoos hota hai,
k jaise Be-Sabab koi,

Kissi ko "Yaad" karta hy.
Kissi ko "Yaad" karta hy...

Naya Dard Ik Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.


Naya Dard Aek Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.
Kal Phir Woh Mere Sheher Mein Aa Ker Chala Gya.

Jis Se Dhoondta Raha Main Lougon Ki Bherr Mein.
Mujh Se Woh Apna Aap Chupa Kar Chala Gya.

Main Oski Khamoshi Ka Sabab Poochta Raha.
Woh Qisse Idhar Udhar Ke Suna Kar Chala Gya.

Yeh Sochta Hoon Kese Bhulaaoon Ga Ab Osse.
Aek Woh Jo MujhKo Bhula Kar Chala Gya

Cigrette Aur Tumhari Yaadein

Mein Cigrette Ko Hatheli Par
Ulat Kar Khali Karta Hoon

Phir Us Mein Daal Kr Yaadein
Tumhari Khoob Malta Hoon

Zara Sa Gham Milata Hoon
Hatheli Ko Ghumata Hoon

Basa Kr Tujh Ko Saanson Mein
Mein Phir Cigrette Banata Hoon

Lga Kr Apne Honton Se
Mohabbat Se Jalata Hoon

Tuje Sulgaa Ke Cigrette Mein
Mein Tere Kash Lagata Hoon

Dhuan Jab Mere Honton Se
Nikal Kar Raqs Krta Hai

Mere Chaaron Taraf Kamre Mein
Tera Aks Banta Hai

Main Us Se Baat Karta Hoon
Wo Mujh Se Baat Karta Hai

Yeh Lamha Baat Karne Ka Bada
Anmol Hota Hai

Teri Yaden Teri Batain
Bada Mahol Hota Hai...!!!!

Hawa Thami Thi Zaroor Lekin

Hawa thami thi zarur lekin,

Wo shaam jesay sisak rhi thi,

K zard patton ko aandhiyon ne,

Ajeeb Qisa suna diya tha,

K jis ko sun kr tamam patay,

Sisak rahy thay Bilak rahy thay,

Janay kis k, alam me sary,

Shajar jarroon se ukher chuky thay,

Boht tlasha tha hum ne tumko,

Har aik rasta Har aik waadi,

Har aik parbat

Har aik ghaati,

Mgr kahin se khbar na aie,

Ye keh k hum ne b dil ko tala,

Hawa thamay gi to dekh len gay,

Hum uskay rasto ko dhond lay gen,

Mgr hamari ye khush khiyaali,

Jo hum ko barbaad kar gai thi,

Hawa thami thi zaror Lekin,

Bari hi mudat guzar chuki thi,

Hmare Baloon k jangloon main,

Sufaid chandi utar chuki thi,

Falak pe taare nahi rahay thay,

Khwaab pyare nahi rahay thay,

Wo jin se basti thi Dil ki basti,

Wo log sare nahi rahay thay,

Magar ye Al'miyaa sab se bala'tar tha,

K tum humaray nahi rahay thay,

K hum tumhare nhi rahay thay,

Hawa thami thi zarur Lekin,

Bari hi mudat guzr chuki thi.

“GAZAL”

Kab tak raho gaye aakhir yoon door door hum se,.
Milna prray ga aakhir ik din zaroor hum se,
Daman bachanay walay ye berukhi hai kesi,
Keh do agar huwa hai koi qusoor hum se.?
Hum chhor dain gaye tum se yoon baat cheet karna,
Tum poochtay phiro ge apna qusoor hum se.,
Hum cheen lain ge tum se ye shaan-e-benyazi,
Tum maangtay phiro ge apna garur hum se…!

No comments:

Post a Comment